Mah e Malka by Mary...
 
Share:
Notifications
Clear all

Mah e Malka by Maryam muzaffar (group reading)

6 Posts
2 Users
0 Reactions
170 Views
(@diyophile7)
Active Member Customer
Joined: 10 months ago
Posts: 6
Topic starter  

Mah e Malka

Episode 01 
Review:
Aj mein ne MEM ki first episode complete ki aur yaqeen karein is se behtar manzarkushi mein ne aj tak kisi kitab mein nahi parhi🤩🤩.. intehai khubsurti se settings batayi gai hain ke ek lamhe ke liye bhi yeh izafi maloomat mahsoos nahi hoti na episode drag lagta hai.💓. aage aate hain dusri cheez jo episode mein pasand ayi woh yeh ke kahani ka plot intense(mujhe laga) hai. magar kahin bhi woh bhari mahsoos nahi hota.. q ke kahani mein jo humour hai na.. uffff woh is kahani ko mazeed char chand laga deta hai. Pehle episode introductory episode hota hai q ke is mein tamam characters ka introduction aur unki good aur bad characteristics batayai jati hain settings aur plot thora wazye hota hai... novel ki characters ki baat karein ufffffffff inka taruf hi itna mazedar tha ke ab aage parhne mein aur maza ayega.. pehle baat karte hain dabeer ki ok so I don't find him too attractive.. matlab he was an addict so.... he was not bad at all not even average I'm pretty sure that yeh kahani ki ahem kirdar hoga aage chal ke..(magar qke mein ne fatir pasand karliya hai😍 toh dabeer koi bhi lesakta hai... hehehe😂😂😂...). Dusra kirdar hamari almira behan almira ke liye ek sentence hai ke Almira is not for beginners💀 kabhi woh scary hai kabhi sweet.. thori psychopath jaisi hai.. magar bahi vibe hai Almira jbh✨️. Phir aata hai FATIH ISLAM..... uffffffffffff mein iski fan hochuki hun aur ab ye mera hua.. writer se sare haqooq mere naam kardein..😊 ab yeh mera pati hai aur suhaag khabardar kisi ne buri nazar se dekha bhi mere pati ko🔪🔪💀.... iski ankhein ufffffff uffffff uffffff itni khubsurat ankhein ke mein kiya bataun... ahhhhhhhh aur personality "Amazing"✨️ kiya banda hai yaaaaaa..... Sacha apne baap se mohabbat karnewala.. uski behan annoying hai warna usse bhi mohabbat kar hi leta bichara.. aur dekho toh sahi uski behan ko uski jaidad ki pari hui hai bhai ka ehsas hi nahi... aur bhai apne khuwab ko pas e pusht dal kar apne baap ke naqsh e qadam pe chalna chahta hai.. kitni bari qurbani de raha hai mera pati... (mere pati ki likhi hui shayari ki jhalak aage milegi kiya🤔?) Baki zubair annoying hai bilkul fatir ki behan ki tarah sirf apni nokri ki pari hui hain usse(koi nahi rozi hai bichare ki itni fikar toh banti hai..) Gül Jan itna ignore hui hai na. Mujhe uske liye bohit bura laga.. apni choti behan ko dhoondna chahti hai woh aur uski bari behan uske sath kasa suluk kar rahi hai.. uski wajah se bichari ko thande noodles kahane pare(noodles thande hone ke baad bilkul ache nahi lagte tbh🫠🫠). Zeba ke sath bhi almira Acha nahi kar rahi.... woh bhi bewaqoof hai Almira ko hi apna best friend banaliya🙂🙂. Ihsaan ke sath jo hua woh yeh hi deserve karta hai ihsaan se zayda ache toh uske abba hain😅.. nofil uncle ka swag hai bahi😎😎.... 
Mera khayal hai taqreeban sare kirdar cover hogaye hain.. aur sab hi bohot ache hain apne apne tor par...
Overall apka writing style mujhe ye poori kitab parhne pe majboor kar raha hai. Apka pehla novel mehraam mein ne parha mujhe tabhi apka writing style munfarid aur Acha laga 💖 abhi tak ke liye itna hai meri dua hai writer apke liye ke Allah apke qalam mein barkat de Ameen Suma Ameen.

   
Quote
(@diyophile7)
Active Member Customer
Joined: 10 months ago
Posts: 6
Topic starter  

Mah e malka 

Episode 02

Review:

Reading block aur be tahasha procrastination ke baad bilaakhir mein ne ye episode parh hi liye. Gül Jan aur dabeer ki mulaqat tab tak hi achi thi jab tak almira madam ki entry na hui.. dabeer q marna chahta hai ye sawal hai? Dabeer aur almira ka apas,mein kiya taluq hai ye ek peheli? Almira ko mein sirf shatir aur chal bazz samjhti thi magar madam 2 hath aage niklin... Gül ko kaam milgaya us jagah pe woh bhi itni jaldi ya toh uski qismat achi hai ye woh jagah zaroor kuch garbar hai..... fatir se zayda is episode mein almira ne stand out kiya. Ab heera khubsurat ho toh uski itni mohabbat toh banti hai.. almira thori "sar pheri" thori "hat ke" (in a good way)lagi mujhe.... uske churane ka andaz kafi alag hai. Balke woh churati nahi cheen leti hai I guess.. although uska confidence 👏🏻👏🏻👏🏻 hats off to her👏🏻👏🏻.... fatir thora pheeka tha is episode mein mujhe uska behaviour thora childish laga.. magar uzair aur uski conversation mein he nailed it 👏🏻 aur uska next move bhi bilkul thik tha (jan hai toh jahan hai) dabeer bhai phir marne ki justuju mein hain🫠. Episode mein kahani ne kafi ache se grow kiya. Hopefully fatir ka character in future aur grow hoga.. almira toh mere zehan mein clear hogai.. ek min ek min mein Gül ko bari "behan" ko kase bhool gai unhon ne toh itna bara karnama anjam diya hai Allah Allah unhon ne jo Gül ke bank account mein gul kihlaya hai na.... matlab kitni heartless aurat hai yaaa..... apni behan ke paise apne boyfriend pe luta rahi hai.. wase toh bohot sakht banti hai aur itni bari bewaqoof nikli.. Che Che Che....😬😬 well written episode thi good job writer 👏🏻 👍🏻 

 

Allah apke qalam mein barkat de 

Ameen Suma Ameen.


   
ReplyQuote
(@diyophile7)
Active Member Customer
Joined: 10 months ago
Posts: 6
Topic starter  

Mah e malka

Episode 03

Review:

Ye episode thori slow thi shayad details zayda hone ki wajah se.. pace is ki munasib thi... mujhe in 4 characters ka apas mein connection pasand aya.. 4 apni zindagi ke kisi na kisi hisse mein ek dusre se jure hue hain.. writer ne kafi khubsurti se inka apas mein taluq explain kiya hai well done 👏🏻 episode mukhtasir thi.. cruise mein on board se shuru hui aur character ke hidden connections ki thori jhalak dikha ke khatam hui.. almira aur Gül ke scene ache the magar Gül ka achanak kisi ke hathon pe latoo hojana kafi funny tha... aur woh bahman sus hai pakka 😶‍🌫️ fatir ka apni pehli fan ka itna bure tariqe se dil torna💔💔💔 khair fatir ki bhi koi backstory hogi.. writer ne jis tarah writers ko hone wale imposter syndrome ko explain kiya woh waqai kafi khubsurat aur umeed deta tha... jo bhi shaks likhna chahta hai uski pehli soch hi yehi hoti hai ke koi usse nahi parhega ya woh kabhi Acha writer nahi ban payega. Magar izzat aur zilat Allah ke hath mein hoti hai.. insan ke hath mein hoti hai mehnat aur dimagh agar ache kaam lagaye toh izzat aur agar bure kaam mein lagaye toh zilat uska muqaddar banti hai.. behar haal ye episode munasib thi ghair zaroori maloomat nahi thi.. afsos ye ke jaldi khatam hogai... bore mein bilkul nahi hui uske liye well done writer 👏🏻 

 

Allah apke qalam mein barkat de

Ameen Suma Ameen 


   
ReplyQuote
(@diyophile7)
Active Member Customer
Joined: 10 months ago
Posts: 6
Topic starter  

Mah e malka

Episode 04

Review:

Ye episode bara bhi tha aur masale dar bhi parh ke bohot maza aya.. manzar nigari is episode ki kamal thi bohot bareeqi se mukhtalif details bayan ki gai thi.. ab jab almira jaisi roommate ho toh Gül ka room badalwana jaiz hai.. aur finally Gül ko apni personal crime thriller, mystery novel wali zindagi mil hi gai.. woh cheeni bichara.... fatir is episode mein thora kam "zan bezar" laga mujhe lagta hai woh apne baap ki "cult ideology about women" se kafi inspired hai... mere khayal se toh isse bhi "perfect aulad" banne ka syndrome hai.. janab ke apne bhi raaz hain jis ne woh khauf zaada bhi hain interesting....😌😌 chalo Almira behan is اونٹ ko kabu kar hi leingi... pehle almira ka peecha woh ahsan toh chore.... khair jab farar hi hona hai toh itni mushkilat toh aati hi hain... koi nahi almira ab heera leke bhaag rahi toh thoro toh pershani toh usse hogi na........ Gül toh bibliophile ke naam pe dark romance reader nikli... Astagfirullah 💀.. wase Gül ka moye moye bhi hua.....aur dabeer ke toh kiya hi kehna Masha'Allah aik larki ki ankhein nikalne ki damki de rahe lo batao ye koi baat hui😶‍🌫️.. wase jitna average mujhe ye lagta tha itna hai nahi.. yeh bhi bohot bara "shakaar" nikla........ episode ke ending cliffhanger wali hai.... ab toh again qist parh ke hi pata lagega is taaza taaza qatal ka mamla...... episode behtareen thi..

 

Allah apke qalam mein barkat de 

Ameen Suma Ameen


   
ReplyQuote
(@diyophile7)
Active Member Customer
Joined: 10 months ago
Posts: 6
Topic starter  

Mah e malka 

Episode 05

Review: 

OH MY GOD!!!!!!!!! yeh mein ne abhi kiya parh liya uffffff ufffffff uffffffffffffffffff... mein kiya bolun!!!!!!! I am dead. I AM DEAD!!!!!!!!! ahhhhhhhhhhhh I don't have words to describe my feelings right now😭😭😭😭😭😭 Ahhhhhhhhhhhhhhhhhh....... mein kiya likhun ab Review mein I am totally completely surprised 😲... uffffffffff yaaaaaaaaa... magar likha bhi zaroori hai.... fatir sahab finally apne khol se bahir aarhe hain.... fatir truly nailed it in this episode 👏🏻 a big hand for him 👏🏻 well written character by you 👏🏻 👍🏻 jis tarah woh apne khol se na sirf niklta hai balke woh madad karne ki niyat se is kaam mein khud se behtar aadmi ki madad leta hai.. uski character development on point hai👍🏻.. warna uski previous episodes mein image thi ke khud ki problems ko akele tackle karna kisi ki madad na lena aur agar koi khud se offer kare toh woh bhi tukhra dena...... Amazing 👏🏻 ek bas fatir hi hai jo apne usool ke liye madad karna chata hai warna Gül ko toh apne pride ki pari hai🫠🫠.. aur almira madam toh sari duniya se hi alag hain... unke kiya hu kehna aur ye bahman kuch zayda hi chipku nahi wase kuch zayda hi masoom dikhta hai almira ko dhoka degai uski shakal impressive is bande ko toh apna naam "Guinness book of world record" mein likhwana chahiye.. kiya almira ka heera waqai nakli hai? Aur dabeer bhai bare tez nikle ab toh ye murder suspect bhi hain din ba din tarqi kar rahe magar tbh dabeer ka kirdar bhi well written hain aur ab tak sab se mysterious bhi uski shakhsiyat ki partein dheere dheere karke khul rahi kabhi woh heran karta kabhi annoy karta hai kabhi halka sa khushi ka ehsas deta hai.. aur ye roopa mein ne pichle review mein iska zikar nahi kiya magar ye ajeeb mysterious se chipku hai ab toh ye bhi murder suspect hai... bichare fatir ko dhoka de rahi thi (allegedly).... aur ab aate hain main twist ke bare mein jis pe mein abhi bhi heran hun mein ne aisa kuch aspect nahi kiya tha tbh.. ahhhh again a well written episode 👏🏻 keep it up✨️

 

Allah apke qalam mein barkat de 

Ameen Suma Ameen 


   
ReplyQuote
 Arfa
(@arfa)
New Member Customer
Joined: 9 months ago
Posts: 1
 

Behtreeen novel

The characters 🤌🤌🤌the scenario the location humor everything is perfect 

FATIR meesna he but cutie he so nvm

Almirah bhi kam meesni nhi he but malka ko kch nhi bola ja skta

Overall behtreen novel he writing style to obv disspoint nhi kr skta coz maryam ka writing style is 🤌🤌🤌

May God bless u maryam 

 

This post was modified 9 months ago by Arfa

   
ReplyQuote
Share:
Open chat
Hello 👋
How can we help you?