Review's

Tum Bin Jeena Mumkin Nahi by Humna Tanveer

Assalam-o-alaikum
Ye kahani hai Noor ki or Maryam ki. Ik wo jis ne ALLAH ki raza pe razi hona sekha or ik wo jis ne ALLAH or maa baap ki na farmani ki
Ye kahani boht aam si hai ap ko ye dono kirdaar her insaan mein nazar ayenge or khin dono kirdaar ik he insaan mein.
Kahani shuru hoti hai Noor ki shaadi se jo Ahemd se nhi Shayan se ho jati hai or phr yahn se shuru hoti Noor ki azmaish Shayan jo kisi or ko pasnd karta hai Noor k sath narwa sulok karta hai use aziyat mein rakhta hai.
Ye sab hum aksar novels mein parhte hen k shohar biwi se narwa sulok rakhta hai or phr kuch salon bad sb thk hojata hai like Happy ending

per hum ne ye sb kahanion tak he socha hai. In kahanion ka asal zindagi mein kya hesiat hai ese lgon ki zindgion ki ending happy hoti hai? In fantasies se bahr akr socha asal mein ye kahanian kesi hoti hen? Kbh in kahanion ka asal matlab janaa k ye kahaniyan hamain sikhaati kya hen? Ye kahaniyan humain SABR sikhaati hen EMAN  sikhati hen k taklifon k bad khushiyan hain.
Kahani ka dosra pehlo jahn Maryam ese insaan ko pasnd karti hai jo use baghwat pe uksata hai Maryam wo kar leti wo ghar se bhag jati hai is umeed per k wo insaan use khush rakhega lekn us ki umedon k baraks hota hai. Insaan bhool jata hai k nafarmani ki saza khuda isi zindagi mein deta hai.Ye kahani bht aam hogai hai roz kahin na kahin ye kahani sunne ko milti hai. Roz kai larkiyan is jang se lar rahi hoti hen kahin wo haar jati hen or kahin wo jeet’ti hain.Ye kahani Eman k kamzor hone ki hai k kese kamzor eman kesi nafarmian krwata hai. Ye kahani hamain anjaam sikhati hai nafarmani ka.Ye kahaniyan sekhne k liye hoti hain in se sekha karen in ki fantasy mein raha na karen ♥️♥️

 

Show More

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Back to top button

Adblock Detected

Please disable it to continue using this website.